khuda-parast hue na hum but-parast hue kisi taraf na jhuka sar kuchh aise mast hue jinhen ghurur bahut tha namaz roze par gae jo qabr mein sare wuzu shikast hue ghurur kar ke nigahon se gir gae maghrur buland jitne hue utne aur past hue raha khumar ke sadme se chur shisha-e-dil magar na sail-e-mai tere mai-parast hue tadap dikha na use 'bahr' mahi-e-dil ki ghazab hua jo wo tar-e-nigah shast hue