ye bhi kya kam hai ki hum betab haalat mein rahe ban na pae kuchh bhi lekin dast-e-qudrat mein rahe hum ko aankhon mein basaya waqt ne manind-e-khwab aur hum tabir ho jaane ki hasrat mein rahe hum ne sahra ho ki gulshan ek jaisa kar diya jis thikane bhi rahe zanjir-e-wahshat mein rahe ab sila husn-e-amal ka kya mila kya jaaniye raushni the hum so shoale ki rifaqat mein rahe khalwat-e-jaan mein badi fursat se aa baitha hai gham arsa-e-fursat mila to hum bhi fursat mein rahe