KHuda se roz-e-azal kis ne iKHtilaf kiya

khuda se roz-e-azal kis ne ikhtilaf kiya
wo aadmi to na tha jis ne inhiraf kiya

main kya bataun ki qalb-o-nazar pe kya guzri
kiran ne qatra-e-shabnam mein jab shigaf kiya

wahi to hun main ki jis ke wajud se pahle
khud apne rab se farishton ne ikhtilaf kiya

usi ke rahm-o-karam par hai aaqibat meri
na jis ne pahli khata ko meri muaf kiya

azal se aalam-e-maujud tak safar kar ke
khud apne jism ke hujre mein etakaf kiya

khuda-gawah ki main ne khud-agahi ke liye
samajh ke khud ko haram umr bhar tawaf kiya

rahenge qasr-e-aqaed na falsafon ke mahal
jo main ne apni haqiqat ka inkishaf kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close