khushbu rahi chaman mein na wo rang rah gaya turbat pe gul ki khar ka sarhang rah gaya main bhi badal gaya hun zamane ke sath sath aaina aaj dekha to khud dang rah gaya ho lab pe ram ram baghal mein rahe chhuri jine ka is jahan mein yahi dhang rah gaya har sang bhaari hota hai apne maqam par insan khala mein pahuncha to pasang rah gaya gul-ha-e-rang-rang rawish-dar-rawish mile daman hi aarzu ka meri tang rah gaya