KHuda shahid suluk-e-narawa se choT lagti hai

khuda shahid suluk-e-narawa se chot lagti hai
na munh phero ki dil par is ada se chot lagti hai

qasam tum ko yunhi baaton ke patthar marte rahna
mere shisha-sifat dil par bala se chot lagti hai

mere mohsin meri ghayyur fitrat ko na pahchane
ki har badhte hue dast-e-ata se chot lagti hai

kuchh aise hain bikhar jate hain jo phulon ki khushbu se
kuchh aise hain jinhen baad-e-saba se chot lagti hai

yaqinan phir unhen mear jine ka nahin aata
jinhen meri khudi meri ana se chot lagti hai

azizo zindagi ki talkhiyon se main to baz aaya
rafiqo aur jine ki dua se chot lagti hai

bajae dil koi patthar rakha hai jin ke sine mein
unhen kyon 'shad' ki aah-o-buka se chot lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close