nigah-e-jalwa-talab aur aarzu kya hai

nigah-e-jalwa-talab aur aarzu kya hai
jamal-e-yar nahin hai to ku-ba-ku kya hai

hazar bar kaha hai ki la-jawab ho tum
phir aaine ke muqabil ho justuju kya hai

ye kis ka rang numayan hai tere hathon se
hina hai ya kisi bismil ka hai lahu kya hai

tadap raha hai jo betab ho ke zakhmon se
ye raste mein mere dil ke hu-bahu kya hai

kabhi to dekhte hasrat bhari nigahon se
kabhi to puchh liya hota aarzu kya hai

jahan mein kis ki chali hai rahega kaun ai 'shad'
payambaron ko bhi jaana pada hai tu kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close