khudaya hind par teri inayat ho inayat ho baradar ko baradar se mohabbat ho mohabbat ho na hindu ko musalman se adawat ho adawat ho musalman ko na hindu se kudurat ho kudurat ho teri ai phut jis ghar mein iqamat ho iqamat ho na kyun be-intiha us mein musibat ho musibat ho yahi hai muddaa apna yahi hai iltija apni watan mein raat-din yarab masarrat ho masarrat ho sharaf is khak ke putle ko hai insan hone ka gharib-e-zar par jis ki inayat ho inayat ho haqiqat mein wahi hai bahra-war ishq-e-haqiqi se urus-e-mulk se jis ko mohabbat ho mohabbat ho ibaadat nam hai us ka shariat hai laqab us ka dil-o-jaan se jo khilqat ki itaat ho itaat ho jo ho hamdard khilqat ka watan ka jo murabbi ho ghazab hai zat par us ki aziyyat ho aziyyat ho dil-o-jaan din-o-iman mulk-o-daulat par jo aadi hain ilahi un ki aankhon mein murawwat ho murawwat ho saza-war-e-khitab-e-khizr wo insan hai duniya mein ki rah-gum-karda ki jis se hidayat ho hidayat ho tujhe ai 'barq' hum samjhenge ahl-e-dil agar tujh se dam-e-mushkil khalaeq ki ianat ho ianat ho