us ke jate hi ye kya ho gai ghar ki surat na wo diwar ki surat hai na dar ki surat kis se paiman-e-wafa bandh rahi hai bulbul kal na pahchan sakegi gul-e-tar ki surat hai gham-e-roz-e-judai na nashat-e-shab-e-wasl ho gai aur hi kuchh sham-o-sahar ki surat apni jebon se rahen sare namazi hushyar ek buzurg aate hain masjid mein khizar ki surat dekhiye shaikh musawwir se khiche ya na khiche surat aur aap se be-aib bashar ki surat waizo aatish-e-dozakh se jahan ko tum ne ye daraya hai ki khud ban gae dar ki surat kya khabar zahid-e-qane ko ki kya chiz hai hirs us ne dekhi hi nahin kisa-e-zar ki surat main bacha tir-e-hawadis se nishana ban kar aade aai meri taslim-e-sipar ki surat shauq mein us ke maza dard mein us ke lazzat naseho us se nahin koi mafar ki surat hamla apne pe bhi ek baad-e-hazimat hai zarur rah gai hai yahi ek fath o zafar ki surat rahnumaon ke hue jate hain ausan khata rah mein kuchh nazar aati hai khatar ki surat yun to aaya hai tabahi mein ye beda sau bar par daraati hai bahut aaj bhanwar ki surat un ko 'haali' bhi bulate hain ghar apne mehman dekhna aap ki aur aap ke ghar ki surat