khudaya kash tujhi ko gawah kar lete nigah-e-khalq se bach kar gunah kar lete hayat khud hi mere dard ki pasban hoti urus-e-marg se ek din jo chah kar lete falak na rahta na ru-e-zamin ki rangini tumhaare jaur-o-sitam par jo aah kar lete na karte jabr kisi par bhi log phir shayad jo ikhtiyar pe apne nigah kar lete gadagari ke to ilzam se bache rahte hum apne sar pe agar kaj-kulah kar lete hamari fikr ka thoda sa to sila milta jo ahl-e-bazm hi kuchh wah wah kar lete nibah lete zamane se hum bhi mar-khap kar jo aap 'asar' ke dil mein na rah kar lete