dilon se uthne lagega dhuan to kya hoga badal gaya kabhi rang-e-jahan to kya hoga machal gaya jo dil-e-na-tawan to kya hoga utha na ishq ka bar-e-giran to kya hoga hamein fareb-e-mohabbat qubul hai lekin jo khul gai kabhi dil ki zaban to kya hoga hum ahl-e-dil hain kisi imtihan se kya darte liya falak ne tera imtihan to kya hoga hazar dard samete hue hun ek dil mein bikhar gai jo meri dastan to kya hoga 'hayat' kis ko dikhaungi aabgina-e-dil mila na koi yahan qadr-dan to kya hoga