khudaya zakhmon mein shiddat-e-dard aur bhi kuchh shadid kar de phir is ke baad in tamam zakhmon se ek sukhan tu kashid kar de machalna ai dil bura nahin hai to zid bhi karna durust kab hai kisi ki aankhen nahin khilauna jo koi tujh ko kharid kar de sabhi ne dekha hai qatl hote magar koi bolta nahin hai mujhi ko yarab zaban de kar ye waqia chashm-did kar de teri jaza-o-saza ki mantiq hamare afkar se siwa hai tu jis ko chahe husain kar de tu jis ko chahe yazid kar de ibaadaton ke liye imaraat mukhtalif hain khuda wahi hai to chahe mandir ko tod dale ki koi masjid shahid kar de