ahl-e-dil jo bhi baat kahte hain koi raaz-e-hayat kahte hain un ke gham se hai jawedan warna zist ko be-sabaat kahte hain hae wo daur-e-ishq jab aansu dastan-e-hayat kahte hain khwab-e-ghaflat mein jo guzarta hai hum to us din ko raat kahte hain ishq ki istilah mein gham ko inqalab-e-hayat kahte hain jo bhi hain waqif-e-haqiqat-e-dil dil ko hi kaenat kahte hain lafz-o-mani mein aa nahin sakti wo nazar se jo baat kahte hain mard-e-haq mein to ma-siwa ko bhi partaw-e-husn-e-zat kahte hain muddaton ghaur karna padta hai un se jab dil ki baat kahte hain kar-gah-e-nuqush-e-ibrat ko 'kaif' sab kaenat kahte hain