khudi ki shokhi o tundi mein kibr-o-naz nahin jo naz ho bhi to be-lazzat-e-niyaz nahin nigah-e-ishq dil-e-zinda ki talash mein hai shikar-e-murda saza-war-e-shahbaz nahin meri nawa mein nahin hai ada-e-mahbubi ki bang-e-sur-e-sarafil dil-nawaz nahin sawal-e-mai na karun saqi-e-farang se main ki ye tariqa-e-rindan-e-pak-baz nahin hui na aam jahan mein kabhi hukumat-e-ishq sabab ye hai ki mohabbat zamana-saz nahin ek iztirab musalsal ghayab ho ki huzur main khud kahun to meri dastan daraaz nahin agar ho zauq to khalwat mein padh zubur-e-ajam fughan-e-nim-shabi be-nawa-e-raaz nahin