dildar dil is tarah baham aae nazar mein jis tarah guhar aab mein aur aab guhar mein ek bar bhi dekha na use pas se ja kar aaya hi nazar wo to kahin rahguzar mein har-chand ki hai sham-o-sahar wo hi par us bin wo lutf na ab sham mein hai aur na sahar mein qismat se madad chahta hun itni ki har waqt manind-e-saba sath rahun us ke safar mein ek bar to nale ki ho rukhsat hamein sayyaad pinhan rakhen hum kab tain fariyaad jigar mein hosh-o-khirad-o-sabr-o-tawan uth chale ek ek jate hi tere chaal padi dil ke nagar mein kidhar ko nikal jawen 'hasan' kya karen hum aah bahar hi ye dil apna na lagta hai na ghar mein