khudi kya aur khudi ka muddaa kya jo banda hai banega wo khuda kya kisi khud-bin se hota aashna kya tujhe dekha tha duniya dekhta kya qayamat-khez jis ki ibtida ho phir us ki intiha ka puchhna kya tere jalwon ne fursat hi nahin di main nairang-e-zamana dekhta kya tajalli raaz hai sahra-e-hasti harim-e-husn ka parda utha kya nazar mein rakh tu apni hadd-e-imkan dua ko dekh tasir-e-dua kya karam-gustar faqir-e-be-nawa hun faqir-e-be-nawa ka muddaa kya takalluf bartaraf main saf kah dun wafa kya aur paiman-e-wafa kya haqiqat khul gai ai 'raaz' aakhir bharam tha 'qadri' sahab ko kya kya