khudi wo bahr hai jis ka koi kinara nahin tu aabju ise samjha agar to chaara nahin tilism-e-gumbad-e-gardun ko tod sakte hain zujaj ki ye imarat hai sang-e-khara nahin khudi mein dubte hain phir ubhar bhi aate hain magar ye hausla-e-mard-e-hech-kara nahin tere maqam ko anjum-shanas kya jaane ki khak-e-zinda hai tu taba-e-sitara nahin yahin bahisht bhi hai hur o jibrail bhi hai teri nigah mein abhi shokhi-e-nazara nahin mere junun ne zamane ko khub pahchana wo pairahan mujhe bakhsha ki para para nahin ghazab hai ain-e-karam mein bakhil hai fitrat ki lal-e-nab mein aatish to hai sharara nahin