dur se bagh-e-jahan dikhla ke diwana kiya muttasil jaane na paya main ki virana kiya dekhte hi mai ko saghar ka na khencha intizar mare jaldi ke main apna hath paimana kiya turfa-tar ye hai ki apna bhi na jaana aur yunhi apna apna kah ke mujh ko sab se begana kiya kuchh bahak kar baat gar bolun to hun mazur main mujh ko hasti ne teri aankhon ki mastana kiya bewafai ne ye kis ki tujh ko samjhaya 'hasan' in dinon kyun tu ne kam us taraf jaana kiya