khul gaya shayad bharam ai dil junun ke raaz ka badla badla sa nazar aata hai rukh dam-saz ka gunjti hai ab bhi kanon mein sada-e-bazgasht tutna dil ka tha ek naghma shikasta-saz ka mah-o-anjum mein bhi us ka husn jalwa-rez hai aaftab ek aks hai husn-e-karishma-saz ka ek pari-khana hai ye shahr-e-hasin lekin yahan koi chehra bhi nazar aaya na us andaz ka kis qadar rangin hai tartib-e-kitab-e-zindagi is mein afsana hai shayad tere husn-o-naz ka shokhiyan phulon se jab karne lagi baad-e-sahar barha dhoka hua hai aap ki aawaz ka apna harf-e-arzu bhi kya qayamat hai 'nazir' dastan-dar-dastan hai harf harf us raaz ka