dil mutmain hai harf-e-wafa ke baghair bhi raushan hai rah nur-e-sada ke baghair bhi ek khauf sa darakhton pe tari tha raat-bhar patte laraz rahe the hawa ke baghair bhi ghar ghar waba-e-hirs-o-hawas hai to kya hua marte hain log roz waba ke baghair bhi main sari umar lafzon se kambal na bun saka katti hai raat yani rida ke baghair bhi ehsas-e-jurm jaan ka dushman hai 'jafari' hai jism tar tar saza ke baghair bhi