khul ke milne ka saliqa aap ko aata nahin aur mere pas koi chor darwaza nahin wo samajhta tha use pa kar hi main rah jaunga us ko meri pyas ki shiddat ka andaza nahin ja dikha duniya ko mujh ko kya dikhata hai ghurur tu samundar hai to hai main to magar pyasa nahin koi bhi dastak kare aahat ho ya aawaz de mere hathon mein mera ghar to hai darwaza nahin apnon ko apna kaha chahe kisi darje ke hon aur jab aisa kiya main ne to sharmaya nahin us ki mahfil mein unhin ki raushni jin ke charagh main bhi kuchh hota to mera bhi diya hota nahin tujh se kya bichhda meri sari haqiqat khul gai ab koi mausam mile to mujh se sharmata nahin