khula hai zist ka ek khushnuma waraq phir se hawa-e-shauq ne ki hai yahan pe daq phir se pukarta hai mujhe kaun mere mazi se ki aaj rukh pe mere chha gai shafaq phir se khafa khafa se hain aakhir janab-e-naseh kyun kisi ne kar diya kya aaj zikr-e-haq phir se kisi se ruth gae ya kisi ka dil toda jabin pe aa gaya kyun aap ki araq phir se miyan-e-dil koi leti hai tis angdai wahi hai ranj wahi gham wahi qalaq phir se na niklo chandni raaton mein kitni bar kaha hua hai chand ke chehre ka rang faq phir se bas ek tajraba kafi hai zindagi ke liye padha na jaega hum se wahi sabaq phir se yahi nizam-e-zamana yahi taghayyur hai jo sahl hai wahi ho jaega adaq phir se kahin qarib hi baadal baraste hain 'alok' hawaen lai hain khunki ki kuchh ramaq phir se