khula har manzar-e-fikr-o-nazar aahista aahista

khula har manzar-e-fikr-o-nazar aahista aahista
chhata aakhir ghubar-e-rahguzar aahista aahista

wo ek be-nam sa koi jazira bahr-e-imka۔n mein
parindon se mili hum ko khabar aahista aahista

nazar mein chashm-e-tar mein ya kabhi aaghosh-e-dariya mein
guhar takmil hota hai magar aahista aahista

na jaane tishnagi thi ya koi ehsas-e-mahrumi
jale ek aag mein ham-umr bhar aahista aahista

wo kuchh bhuli hui yaaden wo dhundli chand taswiren
sadaen deti hain ab bhi magar aahista aahista

hue jate hain khushiyon ke manazir kam se kam 'anjum'
bichhadte ja rahe hain ham-safar aahista aahista


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close