khule hain dasht mein nafrat ke phul aahista aahista saron tak aati hai qadmon ki dhul aahista aahista abhi kuchh din lagenge mausamon ka bhed pane mein badal jaenge yaron ke usul aahista aahista ziyan ka koi rishta umr-bhar qaem nahin rahta so mit jata hai har shauq-e-fuzul aahista aahista mujhe jurm-e-hunar-mandi ka qail hone do pahle main har ilzam kar lunga qubul aahista aahista ye dharti ek din banjar zamin ban jaegi jaanan gulabon ki jagah lenge babul aahista aahista