kis rang mein bayan karen majra-e-qalb

kis rang mein bayan karen majra-e-qalb
dekha jo hum ne jalwa-e-hairat-faza-e-qalb

wo jaanta hai wusat-e-mashrab ke raaz ko
dekha hai jis ne aalam-e-be-intiha-e-qalb

yarab ye qalb-e-haiat-e-qalbi ajib hai
nairang dekhte hain ye kya ai khuda-e-qalb

ye zamzama tuyur-e-khush-ahang ka nahin
hai naghma-sanj bulbul-e-rangin-nawa-e-qalb

raushan-zamir hain ye tere khaksar-e-ishq
rakhte hain faiz-e-ishq se nur-o-safa-e-qalb

salik baqa-e-ishq use kab nasib ho
jis ke suluk mein na hui ho fana-e-qalb

taban hai dil mein mahr-e-darakhshan-e-marifat
nur-ul-qulub hai ye hamari ziya-e-qalb

ushshaq jo tasawwur-e-barzakh ke ho gae
aati hai dam-ba-dam ye unhin ko sada-e-qalb

qalb-e-shahid mein hai tajalli-e-husn-e-yar
mushtaq-e-jalwa kyun na hon dil se fida-e-qalb

sahab-dilon ko haq ne diya hai huzur-e-qalb
maqbul kis tarah se nahin ho dua-e-qalb

ye shauq-o-ram ki bhul-bhulayyan ajib hai
nairang-e-rang hai haram-e-dil-kusha-e-qalb

jis par padi jahan mein abul-waqt ki nigah
us ko mila hai aaina giti-numa-e-qalb

hain aaftab nar-e-mohabbat ke sokhta
sohbat mein un ki hoti hai 'saqi' jila-e-qalb


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close