khule mein chhod rakha hai magar saliqe se bandhe hue hain parindon ke par saliqe se hamin pe farz nahin sirf haq padosi ka tumhein bhi chahiye rahna udhar saliqe se kabhi se haalat-e-bimar-e-dil sambhal jati ilaj karte agar chaara-gar saliqe se hamare chahne wale bahut hi nazuk hain hamari maut ki dena khabar saliqe se bahut si mushkilen hael hain rah mein lekin tamam umr kiya hai safar saliqe se