tum apne aap par ehsan kyun nahin karte kiya hai ishq to elan kyun nahin karte sajae phirte ho mahfil na jaane kis kis ki kabhi parindon ko mehman kyun nahin karte wo dekhte hi nahin jo hai manzaron se alag kabhi nigah ko hairan kyun nahin karte purani samton mein chalne ki sab ko aadat hai nai dishaon ka wo dhyan kyun nahin karte bas ek charagh ke bujhne se bujh gae 'danish' tum aandhiyon ko pareshan kyun nahin karte