khulegi us nazar pe chashm-e-tar aahista aahista kiya jata hai pani mein safar aahista aahista koi zanjir phir wapas wahin par le ke aati hai kathin ho rah to chhutta hai ghar aahista aahista badal dena hai rasta ya kahin par baith jaana hai ki thakta ja raha hai ham-safar aahista aahista khalish ke sath is dil se na meri jaan nikal jae khinche tir-e-shanasai magar aahista aahista hawa se sar-kashi mein phul ka apna ziyan dekha so jhukta ja raha hai ab ye sar aahista aahista