shahr-e-gul ke khas-o-khashak se khauf aata hai jis ka waris hun usi khak se khauf aata hai shakl banne nahin pati ki bigad jati hai nai mitti ko nae chaak se khauf aata hai waqt ne aise ghumae ufuq aafaq ki bas mehwar-e-gardish-e-saffak se khauf aata hai yahi lahja tha ki meyar-e-sukhan thahra tha ab isi lahja-e-be-bak se khauf aata hai aag jab aag se milti hai to lau deti hai khak ko khak ki poshak se khauf aata hai qamat-e-jaan ko khush aaya tha kabhi khilat-e-ishq ab isi jama-e-sad-chaak se khauf aata hai kabhi aflak se nalon ke jawab aate the in dinon aalam-e-aflak se khauf aata hai rahmat-e-sayyad-e-laulak pe kaamil iman ummat-e-sayyad-e-laulak se khauf aata hai