khuli jo aankh to sadiyon ka fasla nikla mere wajud mein ek shakhs dusra nikla ajab na tha mujhe sahra ki dhup kha jati qadam badhae junun ne to rasta nikla khabar nahin ki wo aashob-e-waqt kaisa tha har ek aankh mein barson ka ratjaga nikla firaq-e-subh mein wo aankh jal rahi thi magar bujha hua dar-e-hijran pe ek diya nikla ghazab ki aag dahakne lagi hai sinon mein ye kaun dhup mein le kar ke aaina nikla har ek phul ne jhuk kar tujhe salami di jo sehn-e-gul mein kabhi tera tazkira nikla palak jhapakte hi duniya badal gai 'saghar' ki mera saya bhi mujh se gurez-pa nikla