hairat-e-jalwa muqaddar hai to jalwa kya hai tujh se wabasta hai dil warna tamasha kya hai koi din aur gham-e-hijr mein shadan ho len abhi kuchh din mein samajh jaenge duniya kya hai dil to ek aur hi aahang pe hai raqs-kunan dil ka is umr-e-faromaya se rishta kya hai hum use bhul chuke hain magar ai daur-e-hayat samne aaankhon ke ye surat-e-zeba kya hai jine walon se kaho koi tamanna dhunden hum to aasuda-e-manzil hain hamara kya hai