khuli kitab ke safhe ulatte rahte hain hawa chale na chale din palatte rahte hain bas ek wahshat-e-manzil hai aur kuchh bhi nahin ki chand sidhiyan chadhte utarte rahte hain mujhe to roz kasauti pe dard kasta hai ki jaan se jism ke bakhiye udhadte rahte hain kabhi ruka nahin koi maqam-e-sahra mein ki tile panw-tale se sarakte rahte hain ye rotiyan hain ye sikke hain aur daere hain ye ek duje ko din bhar pakadte rahte hain bhare hain raat ke reze kuchh aise aankhon mein ujala ho to hum aankhen jhapakte rahte hain