go tahi-daman hun lekin gham nahin tere daman ka sahaara kam nahin aaj hi ye baat ai hamdam nahin ek muddat se koi aalam nahin juz tere dil mein kisi ka gham nahin tujh se itna rabta bhi kam nahin jab qadam utthe to rukte hain kahin aaj manzil hi nahin ya hum nahin aankh hum aashufta-haalon se milae gardish-e-dauran mein itna dam nahin donon aalam bhi mukhalif hon to kya mutmain hun main ki tu barham nahin dil mein itni bas chuki hai un ki yaad wo bhula bhi den to koi gham nahin hum se puchho zabt-e-gham ki lazzaten rone walon ko shuur-e-gham nahin hum se wo tark-e-talluq kar chuke aur phir un ki mohabbat kam nahin apne apne gham mein hai har aadmi aadmi ko aadmi ka gham nahin ahrman apni jagah hai ahrman fitrat-e-insan bhi lekin kam nahin gham hai is duniya mein jaan-e-zindagi zindagi mein gham na ho to hum nahin aah anjam-e-gham-e-dil ai 'shamim' ro raha hun aur aankhen nam nahin