khuli rakhunga main kamre ki khidkiyan kab tak idhar se guzrega khushbu ka karwan kab tak musafiro pe ye rasta ho mehrban kab tak zamin thak gai pahunchega karwan kab tak libas-o-jism pe gard-e-safar to thahregi rakhun sambhaal ke mutthi mein kahkashan kab tak zamin roz ye mujh se sawal karti hai tumhaare sar pe rahega ye aasman kab tak sikha do apne charaghon ko aandhiyon ki zaban rahoge aise hawaon se bad-guman kab tak main band kamre mein tanhai se jala hun miyan sadak pe aayega us jism ka dhuan kab tak wo nind lagne se pahle mujhe jagata hai karun main apni thakan ko bhi raegan kab tak ye baat sach hai farishta sifat nahin hun main badha-chadha ke likhen meri dastan kab tak