jine ka ban gaya hai imkan zindagi mein tum aa gae hamari viran zindagi mein har rasta hai ab to aasan zindagi mein shamil hua hai jab se quran zindagi mein marne ke baad is ki mohlat nahin milegi kar aakhirat ka pyare saman zindagi mein phir mil saki na us ko ja-e-panah koi jis ne bhi kho diye hain ausan zindagi mein ye kah ke apne dil ko dete hain hum tasalli pure hue hain kis ke arman zindagi mein kuchh aise log bhi hain duniya mein teri ya-rab lete nahin kisi ka ehsan zindagi mein aadat si ban gai hai ab to hanif-'rahi' jhele hain jaane kitne tufan zindagi mein