khulta hai yun hawa ka daricha samajh liya

khulta hai yun hawa ka daricha samajh liya
khud ko shajar pe aakhiri patta samajh liya

bhatke hue khayal ki surat use mile
bhula hua umid ka rasta samajh liya

ek ye sawal hal nahin hota visal mein
kitna qarib aa gae kitna samajh liya

milti rahegi khwab ki saughat khwab mein
hota rahega tai safar apna samajh liya

uthne lagi hai sham ki diwar phir kahin
girne laga hai dhup ka khema samajh liya

apna mera qadim makanon mein hai koi
ek is sabab se dil ka ujadna samajh liya

us din se paniyon ki tarah bah rahe hain hum
jis din se pattharon ka irada samajh liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close