khulti hai guftugu se girah pech-o-tab ki par kis se khul ke baat karen iztirab ki kafi nahin hai chashm-e-tamasha ko rang-e-gul laen kahan se zakhm mein khushbu gulab ki apni barahnagi ko bacha tez dhup se kirnon mein bu hai jalte hue aaftab ki kuchh main shajar se tut ke be-khanuman hua han kuchh hawa ne bhi meri mitti kharab ki ek umr ho gai hai ki main jaankani mein hun aisi thahar gai hai ye saat azab ki ehsas-e-tirgi hai to suraj uchhaal de warna dua na mang yahan inqilab ki mahkum bastiyon se sarakne lagi hai dhup wo ahd hun ki jis ne shafaq be-naqab ki bijli chali gai to wo aankhon mein rah gaya ab chhu ke padh raha hun ibarat kitab ki 'shahid' kahan se ho ke guzarti hai aab-ju rangat tamam surkh hai kyun sath-e-ab ki