zarre zarre hain aks ke har-su reza reza hain aaine har-su yaad ki barq ho gai raqsan aur aansu baras pade har-su jab se pani mara hai aankhon ka shahr ke shahr jal gae har-su khushbuen gum hui kahan jaane kaghzi phul hi mile har-su dhalte suraj ne raat boi thi gul sitaron ke khil gae har-su shab ka ghunghat uthaya suraj ne zarre zarre chamak uthe har-su khub-surat ghazal bani dulhan mezbani mein lafz the harsu koi gahak nazar nahin aata aur bazar khul gae har-su sukhte ped se gire patte phir parinde bhi ud gae har-su bandishen tod di hain dariya ne aur zamin par hain zalzale har-su ban na pae kumhaar se kuchh hum chaak par ghumte rahe har-su talwe mein til sabab safar ka hai gird us til ke aable har-su teri yaaden sarab sahra ke tu hi 'sima' ko ab dikhe har-su