khumar-e-mausam-e-khushbu had-e-chaman mein khula meri ghazal ka khazana tere badan mein khula tum us ka husn kabhi us ki bazm mein dekho ki mahtab sada shab ke pairahan mein khula ajab nasha tha magar us ki bakhshish-e-lab mein ki yun to hum se bhi kya kya na wo sukhan mein khula na puchh pahli mulaqat mein mizaj us ka wo rang rang mein simta kiran kiran mein khula badan ki chap nigah ki zaban bhi hoti hai ye bhed hum pe magar us ki anjuman mein khula ki jaise abr hawa ki girah se khul jae safar ki sham mera mehrban thakan mein khula kahun main kis se nishani thi kis masiha ki wo ek zakhm ki 'mohsin' mere kafan mein khula