zindagi rain-basere ke siwa kuchh bhi nahin ye nafas umr ke phere ke siwa kuchh bhi nahin jise nadan ki boli mein sadi kahte hain wo ghadi sham sawere ke siwa kuchh bhi nahin dil kabhi shahr-e-sada-rang hua karta tha ab to ujde hue dere ke siwa kuchh bhi nahin hath mein bin hai kanon ki lawon mein baale ye riya-kar sapere ke siwa kuchh bhi nahin sans ke lahriye jhonkon se phata jata hai jism kaghaz ke pharere ke siwa kuchh bhi nahin aaj insan ka chehra to hai suraj ki tarah ruh mein ghor andhere ke siwa kuchh bhi nahin waqt hi se hai sharaf dast-e-dua ko hasil bandagi sanjh-sawere ke siwa kuchh bhi nahin faqr makhdum hai laj-pal hai lakh-data hai taj be-rahm lutere ke siwa kuchh bhi nahin