khumar-e-shab mein use main salam kar baitha jo kaam karna tha mujh ko wo kaam kar baitha qaba-e-zard pahan kar wo bazm mein aaya gul-e-hina ko hatheli mein tham kar baitha chhupa gaya tha mohabbat ka raaz main to magar wo bhol-pan mein sukhan dil ka aam kar baitha jo so ke uttha to rasta ujad lagta tha pahunchna tha mujhe manzil pe sham kar baitha thakan safar ki badan shal sa kar gai hai 'munir' bura kiya jo safar mein qayam kar baitha