shakh-e-mizhgan-e-mohabbat pe saja le mujh ko barg-e-awara hun sarsar se bacha le mujh ko raat-bhar chand ki thandak mein sulagta hai badan koi tanhai ke dozakh se nikale mujh ko dur rah ke bhi hai har sans mein khushbu teri main mahak jaun jo tu pas bula le mujh ko main teri aankh se dhalka hua ek aansu hun tu agar chahe bikharne se bacha le mujh ko shab ghanimat thi ki ye zakhm-e-nazara to na tha das gae subh-e-tamanna ke ujale mujh ko main munaqqash hun teri ruh ki diwaron par tu mita sakta nahin bhulne wale mujh ko subh se sham hui rutha hua baitha hun koi aisa nahin aa kar jo mana le mujh ko tah-ba-tah mauj-e-talab khinch rahi hai 'mohsin' koi girdab-e-tamanna se nikale mujh ko