khumar-khana-e-lafz-o-bayan tak hi hai ki chahaton ka nasha imtihan tak hi hai phir is ke ba'd bikharna hai mujh ko har lamha ki ye sukun faqat tere dhyan tak hi hai bulandiyon ke safar se na is qadar ghabra ye khauf sa jo hai pahli udan tak hi hai nikal bhi jao kinare ki samt aise mein hawa ka zor abhi baadban tak hi hai khuda hue to wafaon ka bankpan bhi gaya khinchaw tir ka goya kaman tak hi hai shikastagi pe meri dekh itna tanz na kar ye ukhda ukhda tanaffus takan tak hi hai 'rauf' dur talak raste mein koi nahin ki ye tazad-e-sada tere kan tak hi hai