khun-e-dil mujh se tera rang-e-hina mange hai ya hatheli pe koi naqsh-e-wafa mange hai jo sada deta raha dar-o-rasan tohfe mein hum faqiron se wahi harf-e-dua mange hai kya hua hai ki rifaqat ka bharam rakhne ko mujh se mahbub mera zakhm naya mange hai shahar mein dhansta hai fitne ki nai daldal mein kya qayamat hai ki mera hi pata mange hai kuchh samajh mein nahin aata hai mizaj-e-yaran jis ko dekho wahi izhaar-e-wafa mange hai wo to wahshat mein kabhi samjhe hai mujh ko qatil aur kabhi kucha-e-qatil ka pata mange hai aql par parda pada hai ki sukhnawar 'anjum' din ke mahaul mein bhi kali rida mange hai