maut ko zist ki manzil ka pata kahte hain rah-raw-e-ishq fana ko bhi baqa kahte hain ahl-e-wahshat ka na kuchh pochhiye kya kahte hain wo to apna bhi kaha un ka kaha kahte hain un ke kirdar ki azmat ko bhala kya kahiye itne achchhe hain ki achchhon ko bura kahte hain qaid-e-guftar bhi hai bandish-e-raftar bhi hai aise mahaul ko zindan-e-bala kahte hain be-sada barbat-e-khamosh ko kahne walo sunne wale to khamoshi ko sada kahte hain jo ghata chha ke na barse wo ghata kya hai ghata han agar tut ke barse to ghata kahte hain ahl-e-haq dekh ke aaina-e-hasti 'kausar' aks ka haal jo kahte hain baja kahte hain