khun-e-dil se kisht-e-gham ko sinchta rahta hun main khali kaghaz par lakiren khinchta rahta hun main aaj se mujh par mukammal ho gaya din-e-firaq han tasawwur mein bhi ab tujh se juda rahta hun main tu dayar-e-husn hai unchi rahe teri fasil main hun darwaza mohabbat ka, khula rahta hun main sham tak khinche liye phirte hain is duniya ke kaam subh tak farsh-e-nadamat par pada rahta hun main han kabhi mujh par bhi ho jata hai mausam ka asar han kisi din shaki-e-ab-o-hawa rahta hun main ahl-e-duniya se talluq qata hota hi nahin bhul jaane par bhi surat-ashna rahta hun main