KHun-e-nahaq ki tarah galiyon mein jab bahti hai raat

khun-e-nahaq ki tarah galiyon mein jab bahti hai raat
zarra zarra chikhta hai aur chup rahti hai raat

parsaon ke haram aabaad rakhne ke liye
dashtaon ki tarah hans hans ke dukh sahti hai raat

jab kiwadon se hawa sargoshiyan karne lage
tab diye ki lau se dhire dhire kuchh kahti hai raat

chand taron ke isi malbe se taza aaftab
sar uthata hai khandar ki tarah jab dahti hai raat

kaun darwaze dabe qadmon nikal jata hai din
kaun si dahliz par sar rakh ke so rahti hai raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close