banne wali hi thi nafrat ki kahani duniya

banne wali hi thi nafrat ki kahani duniya
daud kar ahl-e-mohabbat ne bacha li duniya

is mein bas aap hi bas aap nazar aate hain
main ne duniya se alag apni banai duniya

aap ne apna bataya hai mujhe jis din se
de rahi hai mujhe aa aa ke badhai duniya

yun hi karte nahin sab log mohabbat mujh se
pyar ka dhan hai lutaya to kamai duniya

ye hai girgit ki tarah rang badalti apna
lal pili kabhi nili kabhi dhani duniya

nafraton ka hai har ek samt andhera phir bhi
pyar se dekho nazar aaegi pyari duniya

kabhi tanhai mein hansta hun kabhi rota hun
teri yaadon ki hasin ek bana li duniya

tu mujhe bhul na paegi qayamat tak bhi
de ke jaunga tujhe aisi nishani duniya

man ke qadmon ko jo chuma to laga ye 'kashif'
man ke qadmon mein simat aai hai sari duniya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close