KHun patton pe jama ho jaise

khun patton pe jama ho jaise
phul ka rang hara ho jaise

barha ye hamein mahsus hua
dard sine ka khuda ho jaise

yun taras kha ke na puchho ahwal
tir sine pe laga ho jaise

phul ki aankh mein shabnam kyun hai
sab hamari hi khata ho jaise

kirchen chubhti hain bahut sine mein
aaina tut gaya ho jaise

sab hamein dekhne aate hain magar
nind aankhon se khafa ho jaise

ab charaghon ki zarurat bhi nahin
chand is dil mein chhupa ho jaise

roz aati thi hua us ki tarah
ab wo aaya to hawa ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close