KHun-rang hui sham shafaq se bhi ziyaada

khun-rang hui sham shafaq se bhi ziyaada
dil dub gaya dur ufaq se bhi ziyaada

ladki wo hui jati hai zakhmon ki dhanak si
sada jo rahi sada waraq se bhi ziyaada

bachpan ke khilaune ki tarah mujh ko bhula do
main yaad rakhun tum ko sabaq se bhi ziyaada

kya dekh liya khwab ne aaina-e-tabir
dil ho gaya faq chehra-e-faq se bhi ziyaada

'pinhan' yahan daulat ho ki taqat ho ki shohrat
matlub talab-garon ko haq se bhi ziyaada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close