KHabar kahan thi mere ilm-e-iktisabi ko

khabar kahan thi mere ilm-e-iktisabi ko
kitab-e-dil hai bahut haq ki bazyabi ko

wo zabt-e-shauq jo buniyaad-e-zabt-e-mai-khana
usi ka hosh na saqi ko na sharabi ko

abhi kahan hai mere zakhm-e-dil ki wo rangat
gulab dekh ke jal jae jis gulabi ko

khuda ke samne insan ki taraf-dari
aziz rakhta hai dil apni is kharabi ko

ghazal ko dar hai ki zinda na dafn ho 'pinhan'
saza mile na sadaqat ki be-hijabi ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close